Aayee Hoon Nidamat Ke Rida Orh Ke Ser Per!
A
0
Altın Yaprak
Ghanghor museebat ki GhaTa chhayee thee ser per
Hum kaasaaye ummid liye aa gaye dar per
Kya Khauf hameN Gham ki kaRee dhuup ka Maula
Saya rahe rahmat ka agar raahguzar per
Nadim hooN gunahoN pe mujhe baKhsh deN Sarkar
Aayee hooN nidamat ke rida oRh ke ser per
Kya shaan tire rauze ki Sarkar-e dou Aalam
Qurbaan miree jaan ho deevaaroN pe dar per
emaan se punoor kiya aap ne har dil
bhaTke huuwe qadmoN ko bhi le aaye dagar per
Lillah bula lijiye ab rauze pe mujh ko
Lillah kareN rahm mire dedaa-e tar per
kya 'Aarzoo' kuch sher kahe naat ke tum ne
jannat ka sa mahaul nazar aata hai ghar per
©Aarzoo Mehek
Bu şiiri puanla
Henüz puan verilmemiş