Shub Thee Aur Main Tanha!
A
0
Altın Yaprak
Shub thee aur maiN tanha
Aur hawa ka ik jhonka
Teri yaad ki Khushboo
Saath leker aaya tha
Mujh ko yuun laga jaise
Tou hai mere pahloo meN
Tere tun ki Khushboo se
Dil mahak uTha tha mera
Teri garm saNson se
Jism jal gaya mera
Kya tapish thee saansoN meN
jism.o jaan pighal gaya
Such to bus yehee hai tou
Mujh se door hi kub tha
Jaan.o.dil men rahta hai
Door ho nahi sakta
Mere aansoo.oN men tou
Meree har Khushee meN tou
Tou hai mere khuwaaboN meN
dharkanon main tou rehta
Mere dil meN basta hai
Door kaise jayega
Mujh se door reh ker bhi
Door reh na payega
©Aarzoo Mehek
Bu şiiri puanla
Henüz puan verilmemiş