Mera Desh Jal Rahaa Hai (Urdu/Hindi)

A Aftab Alam Aftab Alam
0 Altın Yaprak
Mera desh jal rahaa hai Majhab ke chulhe me Nafrat ki aanch hai Rasoiya apni ummiden bade pyaar se Tal rahaa hai Mera desh jal rahaa hai Wadon kaa diwaanaa pan Kale ghanghor ghan Saavan ko chhal rahaa hai Tan-badan jal rahaa hai Mera desh jal rahaa hai Wo saath chal rahaa hai Seene ko dal raha hai Saanso ki garmiyon se ehsaas pighal rahaa hai Mera desh jal rahaa hai Hai khet saare banjar Sabne ise charaa hai Hai pet khaali inkaa Ab tak nahi bhara hai Kya aql fir gai hai Bheja khisak gaya hai Kya khane me jahr de dun Bachchaa jo ro rahaa hai Mera desh jal rahaa hai Chunaav aa raha hai Ghar ko jala raha hai Har koi chhal raha hai Hantho ko mal raha hai Mera desh jal rahaa hai

Bu şiire çeviri ekle ·

Bu şiiri puanla

Henüz puan verilmemiş

Yıldıza dokunarak 1–10 arası puan ver

Yorumlar

Yorum yapmak için giriş yapmalısın.

Giriş yap

Bu şiire henüz yorum yapılmamış. İlk sen ol.

Sana daha iyi bir okuma deneyimi sunabilmek için sitemizde çerez kullanıyoruz. Kişisel verilerin KVKK ve GDPR kapsamında işlenir; hangi çerezlere izin verdiğini dilediğin zaman değiştirebilirsin.