Tera Chehra
A
0
Altın Yaprak
Jidhar dekhun udhar dekhun tera chehra,
Pyar pe laga sakta bhi hai kya, koi pehra,
Pyar adat hai, ibadat hai, haq hai hamaara,
Pyar pe bhi, bhala banta hai, koi mohra,
Pyar ghazal hai, tarannum hai, afsaana hai,
Pyar ka hota nahi mukhda kabhi dohra
Pyar roohon ke darmyaan ek kashish hai,
Pyar haqiqat hai, siinch deta hai jo sehra,
Pyar haiwan ko insane bana deta hai,
Jo pyar insan ko haiwan bana de gahra,
Us pyar ka etbaar kya, uska izhar kya,
Pyar se afjal bhi hai kya zamin pe doosra,
Bu şiiri puanla
Henüz puan verilmemiş