Ghazal-Keya Mere Is Dil Mein Hay
A Akhtar Jawad
0
Altın Yaprak
Aainon ko tootte dekha isi mehfil mein hay,
Keya bataoon aap ko Keya mere is dil mein hay.
Hamnasheen main tujhko apna dil dikha sakta nahin,
Dagh tere nakhunon jaisa bhi ek is dil mein hay.
Zindagi ka lutf to aaghosh mein maujon ki hay,
Zindagi woh zindagi keya gharq jo sahil mein hay.
Kaif woh jo justujoo mein tha kahan per reh geya,
Aaj main kahne laga hoon rakha keya manzil mein hay.
Mere hone ya na hone se bhala keya farq hay,
Aap chup to khamushi chai huyee mehfil mein hay.
Bu şiiri puanla
Henüz puan verilmemiş