Kash
A Akhtar Jawad
0
Altın Yaprak
Kash wuh chehra mujhe itna na bhaya hota,
Kash khabon mein mere koi na aaya hota.
Husn ne sar pase mahmil na ghumaya hota,
Ishq ne sar sare maqtal na uthaya hota.
Zindigi itni bhi dushwar na hoti shayed,
Kash yun aapne mujhko na bhulaya hota.
Jane keyun aapke is gham ko jaga kar rakha,
Thapkian deke ise main ne sulaya hota.
Ab yehi fikr hay kis tarah bachaoon isko,
Zindigi tujhko na raste se uthaya hota.
Maut kitni hay asan yeh majnoon se pooch,
Kash yeh dhang mujhe usne sikhaya hota.
Gar bicharna hi tha mujhse to mile keyun Akhtar,
Tumko khona tha agar, tumko na paya hota.
Bu şiiri puanla
Henüz puan verilmemiş