Sanwara Nabiji Ka
A Akhtar Jawad
0
Altın Yaprak
Phir Rakhte Safar bandha humne,
Phir aayaa ishara nabiji ka,
Tum mujhko sahara mat dena,
Mujhko hay sahara nabiji ka.
Ab koi nazara janchta nahin,
Bas ek nazara nabiji ka,
Ab sare ishare khatm huey,
Baqi hay ishara nabiji ka.
Tum dekhna udta jaoon ga,
Main to hoon pukara nabiji ka,
Koi kam to aysa kar ke chaloon,
Ban jaoon main peyara nabiji ka.
Main sochta hoon rah jaoon wuhin
Ban jaoon dulara nabiji ka,
Aur shams sawa neze pe kahe,
Yeh to hay sanwara nabiji ka.
Bu şiiri puanla
Henüz puan verilmemiş