Muskurathey Raho!
G
0
Altın Yaprak
Zindagi is tarah jiyo ki
Cherey ki muskurahaat kabhi bhi kam na ho
Agar Mauth bhi aa jaaye saamney
Mauth aaney ka gam na ho aur
Tumharey chhah ney walon kay
Aankhon mein aason kam na ho!
Aankhon say behthi aasuyein
Ek dhara ki tarah samandar mein jaa kar is kadar Miley
Ki kabhi bhi samandar ka pani kam na ho!
Zindagi shuruvaath hain toh Mauth anth bhi nahin
Naye beej Jo aapney boyae
Woh ek nayi zindagi ki shuruvaath hai!
Muskurathey Raho!
©ALL RIGHTS RESERVED BY GEETHA JAYAKUMAR 2014
© 2014
Bu şiiri puanla
Henüz puan verilmemiş