Aurat
M
0
Altın Yaprak
Kehne ko toh duniya ne tujhe kya kuch nahi kaha
Kabhi mardon ki kamzori, kabhi taqat batla diya
Har jagah sab tarah se tujhe saza ka haqdaar bana diya
Kabhi masla, kabhi kuchla, kabhi uthakar saja diya
Kabhi tujhe beizzat kiya toh kabhi laaj aur sharm ka naam diya
Kabhi aiyashon ne luta, kabhi hawas ne barbaad kiya
Kabhi baazar me N chalne wala sikka samjha
Kabhi mann behlane wala sadhan bana liya
Kabhi andheron me diya kaha aur kabhi musibat ka khitab adaa kiya
Kabhi shabdon ke baan se ghayal kiya aur kabhi muskurahaton se pareshan kiya
Kabhi sajaya aabhushano se toh kabhi cheer-haran pe majboor kiya
Kabhi lutaya pyar apna aur kabhi pyar se kangaal kar diya
Har ras me apna swarth khoja aur niras kar chod diya
Teri upaj tak cheen li apna naam de diya
Khud toh hasta rakha aur tujh ko rota chod diya.
Bu şiiri puanla
Henüz puan verilmemiş