Teri Justaju Lekar.......
M
0
Altın Yaprak
Teri justaju lekar bhatakte rahe sehra mein,
Kyun Zindagi ko tar tar kiya hamne,
Na apni khabar rahi, na sahara bane kisi ka,
Kis awargi se zindagi ko bezar kiya hamne.
Guzre kai maqam se ruke nahi phir bhi
Aankhen char ki lekin dil-azaar kiya humne.
Milne ki Justuju mein haDein paar kar di sab
Khud apne wajood ka inkaar kiya humne.
Teri aashiqui ki talash mein khud ko saza de dali
Aake zara dekh le zalim kya apna haal kiya humne.
Ek vaade ka aitbaar kiya "Aashi"
Isliye is zindagi se pyar kiya humne.
Bu şiiri puanla
Henüz puan verilmemiş