Ye Patthar Aur Wo Patthar
M
0
Altın Yaprak
Na Tu kabhi banKe RehNa ek Neev ka patThar
Tujhe toh bante jaana hai ek meel ka PatThar
Teri her kathorta me, mai to bus yahi dekHoon
Tu hai ChatTaan ka patThar, Tu hai Armaan ka patThar
Is Shehar ne to teri izzat hi badha di
Yahan makaan bhi patThar, Yahan Insaan bhi patThar
Kisi ne BooT taraashe hain In patTharon se yahan
Kahin Bhakt hai patThar, Kahin bhagwan hai patThar
Is shehar se zara bach ke guzarna ay-dost
Har ThoKar me Yahan patThar, Har ek RaaH mein patThar
Jo hum-tum lad pade shayad kisi masle masail pe
Tere bhi haath mein patThar, Mere bhi haath mein patThar
Yahan jo dil DhadakTe hain, Jo bhi Armaan MachalTe hain
Her ek EhsaSaat mein patThar, Her ek Jazbaat mein patThar
Tu apni Soch ko rakhna sambhal kar Kar Yahan 'Aashi'
Her zehniyat mein patThar, her khayalat mein patThar
Bu şiiri puanla
Henüz puan verilmemiş