Shashwat

R ramesh rai ramesh rai
0 Altın Yaprak
Jivan ek shashwat, parikalpna hai madhur asamnjas ke us paar agar dekha hoga kisine bhoo - dhara ki nai patal par rashmiyon ke bharmaaar mein bahu samay ka satya vibhushit ho raha tha puchh raha tha Wah aayee godhuli ki bela mein jivan ki saari rashmiyon se yukta agar dekha hoga kisine wah mai tha, mai aur bas mai jivan ka nirupan kar satya ko alokit kar asatya ki dharatal satya ki parampara ko lekar nayee uplabdhiyan sahit sunya mein jivan ke sukhsma us paar kya dekha hai kisine tumhi batlao n meri koi mansikta hai bas likhta hun, likhne ke liye aaj bhi satya hamse door hai astya mein bhatakata maanav anant jivan ka avivadan kiske liye hota atma ka nidarshan kis prakar se hota ati sukshma tatwon se bana phir atma nashta nahi hota wah leh matra ban jaata jivan ki prastuti ka awsaan jo atma hi agar saakar ban jaata aatma ek nirakaar hai wah saakar mein pravishta hota phir yeh manav sharir tab kahi nirmit hota kaun karega pushti, jivan ke yathart ko kisliye yeh jiwan phir aatma se ban paata is anant brahmand ki shrishti phir isme bana sansaar kaise bana yeh jiwan sunya ek pathik hai puchhta Aye Shrishtikarta! tum aaye pahle ya mahakaal baar baar yeh prashn main sirf tumse puchhta tum batlao mujhe jivan ka rahasya kis tarah is maanav ka jivan ban jaaye khusiyon se paripurna kis tarah shrishti ke har prani ho kshuda se mukt kshuda chahe jaisa bhi ho dhoondhta hai ek saakar pratima saakar se nirakaar ka milan yehi to hai satya ka khoj.

Bu şiire çeviri ekle ·

Bu şiiri puanla

Henüz puan verilmemiş

Yıldıza dokunarak 1–10 arası puan ver

Yorumlar

Yorum yapmak için giriş yapmalısın.

Giriş yap

Bu şiire henüz yorum yapılmamış. İlk sen ol.

Sana daha iyi bir okuma deneyimi sunabilmek için sitemizde çerez kullanıyoruz. Kişisel verilerin KVKK ve GDPR kapsamında işlenir; hangi çerezlere izin verdiğini dilediğin zaman değiştirebilirsin.