The Essence Of Flower
R
0
Altın Yaprak
Ek gulab ka phool hai
kanton mein hansta rahata hai
ek kamal ka phool hai
kichar mein khilta
ek surajmukhi ka phool hai
sada shish nawae rahata hai
tum bhi ban jawo un phoolon sa
sab dukh ko gale lagata jaa
phir ban jayega tum bhi pyara
in phoolon sa mahakta jaa
tumhaari khushbu se mahkegi
yeh dunia
harshit honge log sabhi
har bipada ko jhelkar
sada yun muskaye jaa
Bu şiiri puanla
Henüz puan verilmemiş