Hamesha Yaad Rakhti Hun!
S
0
Altın Yaprak
Mera her roz
ik taaza tajurba le k aata he
naya sooraj
nai kirnen
nai umeed laata he
nai kirnen meri khirki k pardon per
kharri dastak sunaati hen
meri aankhen jo khulti hen
hamesha yaad rakhti hun
k kiya kiya kaam karnay hen
hamesha yaad rakhti hun
k pal zaaya nhi karnay
kaheen pauday na piyaasay hon
agar maali nhi aya
tau unko kon dekhe ga
agar mainaa k piyaalay mein
koi daana nhi ho ga
bechaari keh na paey gi
hamesha yaad rakhti hun
mujhe bhi muskuraana he
hamesha yaad rakhti hun
k tum ko bhool jaana he!
Bu şiiri puanla
Henüz puan verilmemiş