Suna Hay... (Urdu) ! ! !
S
0
Altın Yaprak
Suna tha ik nai taqdeer
ki tashkeel honi hay
Suna tha ab k aangan ki faza
tabdeel honi hay
Suna tha aasman se adl ki
zanjeer latkay gi
Suna tha her pareshan haal ki
taqdeer chamkay gi
Suna tha aashti k mehrbaan
baadal jo barsen gay
Masaiyl sir chhupaanay ki jagah
lene ko tarsen ge
Suno! hay ab kahan her waqt
jaadu ki chhari chalti
Suna hay chund barson me
koi mushkil nhi talti
Suna hay sabr ka daaman
abhi thaamay hi rehna hay
Suna hay jis k aadi hen
ussi mushkil ko sehna hay
Abhi ummeed na baandho
abhi mushkil me rehna hay
Suna hay apna ghar abb bhi
andheron me hi rehna hay
Yateemon ki tarha thehro,
hareefon ki hukoomat hay
Pareshani ki nobat kiya,
shareefon ki hukoomat hay
Khabar gardish me he wo hi
puraanay baaghban hon ge
Suna hay phir wo hi chehray
hamaray hukmaran hon gay!
Bu şiiri puanla
Henüz puan verilmemiş