Waqt!
S
0
Altın Yaprak
Waqt k dosh pe
her baat ko daala na karo,
waqt ka kiya he
theher jaey to chalta hi nhi
par laga le
to kbhi ruk k palat'ta bhi nhi
waqt rotay huay
chehron ko hansaata he kbhi
or kbhi hanstay huay
dil ko rula deta he
waqt badhta he to bus zeest ko
aandhi de kar
waqt chalta he
syah baalon me chaandi de kar
Kon kehta he
k haalaat sanwar jaen gay
waqt guzray ga,
to hum sath guzar jaen gay
waqt k dosh pe
ik roz bikhar jaen gay! ! !
Bu şiiri puanla
Henüz puan verilmemiş