Oo Baadra Fir Se Chaa Ja
V
0
Altın Yaprak
Oo baadra fir se chaa ja
Chanda ko aapne aachal me
Fir se chupa ja
Ki mai fir se dhoondoo usse
Aapni tarasti aakhoon se
Aur wo maza uthaya
Aapki goood se jhaak ke
Aur muskuraya hame pareshan dekh ke
Maano jaise fir ho gaye Vijay
Mujhe tadapte deekh ke
Oo baadra fir se chaa ja
Koi intizar kar raha
Inn aathkeliyoon ka mazaa lootne ke liye
Aur wo muskaan ke saath sone ke liye
Jo aati nahi kisi aur cheez se aab
Oo baadra fir se chaa ja
Aur loriya gunguna ja
Jo le jaye unn galiyon me
Jo khwahishoon se guzarti hai
Aur aab unke tanhai ka marz baan gaye
Ki kahi ek aas abhi bhi hai baki
Phool khita to hai he na kabhi
Oo baadra fir se chaa ja
Koi tere aas me
Taak raha aasmanon ko tak taki lagaye.
Bu şiiri puanla
Henüz puan verilmemiş