Tum Ek Bar Pukaro To
A Akhtar Jawad
0
Altın Yaprak
Tum jo chaho wuh nam mujhe do,
Lekin ek bar pukaro to,
Yeh aankhein bhi kutch kehati hayn,
Ek bar inhein bhi niharo to,
Main bikhra doon ga dobarah inhein,
Tum apni zulfein sanwaro to,
Jis geet mein koi aur nahin,
Tum apne dil mein utaro to.
Main tumko pukara karta hoon,
Tum ek bar pukaro to.
Tum dekhna kaise aata hoon,
Main sath mei keya keya lata hoon.
Yeh dharti sari meri hay,
Yeh neelgagan bhi mera hay,
Yeh jo chandni ratein hayn,
Aur yeh jo mehekkta savera hay,
Yeh jo bikharti khushboo hay,
Aur rangon ka jo basera hay,
Wuh phool bhi sare mere hayn,
Yeh bagh bhi sara mera hay.
Yeh jo barasta savan hay,
Yeh jo sulagta andhera hay.
Main in sabko le aaon ga,
Yeh wada raha cha jaoon ga.
Tum rahein meri niharo to,
Bas ek bar pukaro to.
Main badal ban kar aaon ga,
Main kajal bhi ban jaoon ga,
Main phoolon ka roop bana loon ga,
Main taron ki sej saja doon ga,
Main dhoop bhi lekar aaon ga,
Main khushboo tumhein banaoon ga,
Main pankh bhi lekar aaon ga,
Aur door tumhein le jaoon ga,
Tum urna chand ki sangat mein,
Tum khona uski rangat mein.
Lekin tum mujhko pukaro to,
Yeh uljhi zulfein sanwaro to.
Bu şiiri puanla
Henüz puan verilmemiş