Jindagi - Ek Paheli

R ramesh rai ramesh rai
0 Altın Yaprak
Aie Jindagi! tum kaun si paheli ho jise main ab tak suljha n paya Main phool bankar sabhi ko subhashit karna chahata phir kyoun sabhi mujhse khafa khafa se najar aate hain Main mukta hawaon mein vicharan karna chahata phir kyoun main kisi ke dil ke darwaze mein band pata hoon Jab main vairagya geet likhta hoon phir prem geet kyoun ban jata hai Main bhautikvad mein lipt ho jana chahata to phir kyon adhyatma ki auor khinche chala jata Aie Jindagi! Maine abtak tumhari har baate mani Maine apni priyatama ko bharpur pyar dena chaha phir takrar kyon najar aata ya phir yehi vastavik pyar hai Maine to jivan ke har mor par samjhauta hi kiya Aie Jindagi! Jab main tumhe muththi mein band karna chaha phir ret ki tarah kyon nikal jata Main tumhare pichhe bhagate bhagate hanf gaya hoon Thoda vishram to kar lene do ya phir yeh bhi manzoor nahi to phir chalo kitni door chalna hai Main jeetu ya n jeetu lekin haar mananewala bhi nahi hoon.

Bu şiire çeviri ekle ·

Bu şiiri puanla

Henüz puan verilmemiş

Yıldıza dokunarak 1–10 arası puan ver

Yorumlar

Yorum yapmak için giriş yapmalısın.

Giriş yap

Bu şiire henüz yorum yapılmamış. İlk sen ol.

Sana daha iyi bir okuma deneyimi sunabilmek için sitemizde çerez kullanıyoruz. Kişisel verilerin KVKK ve GDPR kapsamında işlenir; hangi çerezlere izin verdiğini dilediğin zaman değiştirebilirsin.