Pratiksha

R ramesh rai ramesh rai
0 Altın Yaprak
Main ek pathik hun thodi si pratiksha karne aaya hun kyunki mujhe pratiksha hai kal ki aatma ka ek roop hun main! kayee loko ka bhraman kar utara hun main, is dhara par bas pratikha hai, meri baari ki vicharan kar loon, dekhne aaya tha jaa raha hun, apne gantabya ko jahan mujhe jaana hai sabhi ko wahi par jaana hai tab tak is pratikshalay mein thoda vishram kar lete hai mil jaata koi gar saathi saath deta kuchh door tak hamsafar hi n sahi bas agale padaw tak chhoot jaata hai ya phir chhod deta hai akela jaankar. main bhi n baandh paya samay ki raftaar ko use bhi shighrata thi use bhi jaana tha apne gantabya ko kahn thaur hai main nahi jaanata sau saal ki ghadi bahut jaldi gujar gaye tabhi to hame jaana hai dusre lok ki yaatra mein naye saathi ki talaash mein koi kitna bhi kahe mai rukne wala nahi mere prasthan ka samay aa gaya Alvida dost! Alvida! hamaara tumhaara saath bas yehi tak tha meri galati ko maaf karna ho sake to agle padaw mein milna n jaane wah kaun sa padaw hoga kaun sa desh, kaun sa nakshatra, kaun sa brahmand bas! mujhe tumhari pratiksha rahegi.

Bu şiire çeviri ekle ·

Bu şiiri puanla

Henüz puan verilmemiş

Yıldıza dokunarak 1–10 arası puan ver

Yorumlar

Yorum yapmak için giriş yapmalısın.

Giriş yap

Bu şiire henüz yorum yapılmamış. İlk sen ol.

Sana daha iyi bir okuma deneyimi sunabilmek için sitemizde çerez kullanıyoruz. Kişisel verilerin KVKK ve GDPR kapsamında işlenir; hangi çerezlere izin verdiğini dilediğin zaman değiştirebilirsin.