Dua! ! ! (Urdu)
S
0
Altın Yaprak
Dua ke ehteraam mein
Dua k faiz kiya likhun
Dua se hi hayaat
Or dua se hi sabaat he
Dua se hi jaha’n mein
Sub nizaam ko farogh he
Dua hi mohtaram he
Or dua hi ehteraam he
Barho zara samet lo
Kahin se gar dua mile
Faqeer ki yeh fikr he
Dua hi Rab ka zikr he
Dua se hi museebaton
Ke marhabon ki maut he
Dua hi josh-e-Haidery
Ki thoss Alhadeed he
Mohammad-e-azeem ne
Bataya wo sabaq he yeh
Jo apni zaat-e-Pak se
Sikhaya wo amal he yeh
Yeh Fatima ki ungliyon
Ki tasbeeh-e-mubarika
Siye jo Darzi-e-Jinna’n
Barang-e-surkh-o-sabz
Yeh Dua-e-Syeda Hassan
Hussain ka libaas he
Dua hi dast-e-Qambari
Mein oont ki mohaar he
Kaneez-e-Fatima ke
Mojzay se jo ataa hui
Kalaam-e-pak mein likhi
Azeem Hal ataa he yeh
Dua Ali ke faiz mein
Kabeer bhi sagheer bhi
Dua Hassan ka rizq he
Yeh jang he Hussain ki
Saheefa-e-Sajjad mein
Dua hi hukmaraan he
Yeh Paanchwen Imam k
Sabar ka imtehan he
Jo Sadiq ik imam hen
Yeh unka bhi kalaam he
Dua bahisht-e-Karbala
Dua hi Kazimaen he
Dua hi Mashhad-ur-Raza
Ki jaaliyon ka mojza
Taqi ki barkaton bhara
Dua hi ek jaam he
Naqi ne haath uthaey
Unko Askari ataa huay
Namaz-e-shab mein Askari
uthaen dast-e-pak jo
Jahan mein Hujjat-e-Khuda
Ka mustaqil zahoor ho
Dua Sagheer-e-Karbala
Ki muskurahaton ki daen
Dua Alam k saey mein
Jahan ka behtareen nizam
Dua kalaam-e-asr he
Dua ke faiz kiya likhun
Ke Hajj ki or zakaat ki
Som or salaat ki
Dua hi zaib-o-zain he
Namaaz ki bahaar he
Aqeeda-o-amal me
Iss se behtareen or kiya
Yeh Karbala-e-asr mein
Ataa-e-Kirdgaar he
Museebaton ki jang mein
Dua hi Zulfiqaar he
Azeem naad-e-Haidery
Ke vird ka husool he
Batool ke qalam pe
Rahmaton ka yeh nuzool he! ! !
Bu şiiri puanla
Henüz puan verilmemiş