Shaam K Baad Ii (Urdu)
S
0
Altın Yaprak
Unn ki yaadon ki
jo hoti he sahar
shaam k baad
Hum ko lagta nahi
taareek nagar
shaam k baad
Har taraf dard
chamakta he
sitaaron ki tarha
Sub manazir mein
ubhartay hen gohar
shaam k baad
Saath rehta he,
mera haal
suna karta he
Ik parinda he jo
jaata nhi ghar
shaam k baad
Mujh ko bus yaad
meri maa ki
boht aati he
Jab bhi chhati he
mere ghar pe kohor
shaam k baad
jab laga
kaam mukkammal huay
saaray apnay
baandh len ge
kisi din
rakht-e-safar
shaam k baad
Bu şiiri puanla
Henüz puan verilmemiş