Shaam K Baad! (Urdu)

S Shahzia Batool Shahzia Batool
0 Altın Yaprak
Hum jhatak detay hen ehsas tera shaam k baad phir bhi kyun lgti he be-aas nigah shaam k baad dil sar-e-shaam hi iss tarha sulag uthhta he jis tarha taaq pe jalti he shama shaam k baad yeh to naadan say bachhay ki tarha rota hay mangta rehta he subho ki faza shaam k baad jaanay kis khass khilonay ki talab hay iss ko dil ko bhaati nhi taaron ki zia shaam k baad koi sa'yil ya farishta he khuda hi janay dard lehjay me jo deta he sada shaam k baad mujhko charhtay huay suraj ki tarha kafi hay jalta rehne do koi ek dia shaam k baad seh peher tk to zamaanay say mila kartay hen khud say hoti hay mulaaqat sada shaam k baad in hi lamhon me ibaadat ka maza milta hay kyun k milta he haqeeqat me khuda shaam k baad khol kr arsh k taalon ko khuda betha hay kese lotay gi bhala maa ki dua shaam k baad dekh kr teray charaaghon ko palat jaati hun mujh se kehti hay meri dost hawa shaam k baad abr barsa nhi dil khol k shayad uss ko ghairat-e nafs ne ronay na dia shaam k baad itni heraan Batool aj hay khud pr kyun k aaj hr giz na ussay yaad kia shaam k baad...

Bu şiire çeviri ekle ·

Bu şiiri puanla

Henüz puan verilmemiş

Yıldıza dokunarak 1–10 arası puan ver

Yorumlar

Yorum yapmak için giriş yapmalısın.

Giriş yap

Bu şiire henüz yorum yapılmamış. İlk sen ol.

Sana daha iyi bir okuma deneyimi sunabilmek için sitemizde çerez kullanıyoruz. Kişisel verilerin KVKK ve GDPR kapsamında işlenir; hangi çerezlere izin verdiğini dilediğin zaman değiştirebilirsin.