Us Seher Ki Aabo-Hawa Mein
M
0
Altın Yaprak
Us seher ki aabo-hawa mein
Saanse lene ka jee chahta hai
Jahan dil ki zubaan se
Lafz zehen tak choo jaate hain
Jahan panchi bhi
hawaooN mein tairte nazar aate hain
Machliyan paani mein Udti hain
Aur InsaaN asmaan pe chalet nazar aate hain
Meri mehbooba jahan
Khayalon ki bulandi
Pe nayi ghazal likhti hai sada
HoonTh kehte nahi
Wahan dil ki awaz suni jaati hai
Laaj aur sharm se wahan
Payal bhi chanakti nahi
Taar dil ke bajte hain wahan
Aur ansuoN se kali khil jaati hai
Badal reza reza hote hain wahan
Unke Zukfon ki nami se sondhi sondhi mehak aati hai
phool kilte hain, machalti ankhon ko dekh kar
Bhavre khamosh zameen pe utar aate hain
Titliyan bhi rang khareedne ko unse
Unki dehleez ke chakkar lagati hai
Mor bhi nachNa bhul kar
Pankhon se jhula jhulate hain
Unke ek ishare pe Kachawe bhi
Khargosh ki raftaar pakad lete hain
Behti nadiya bhi ruk ruk ke
Samader ka maza leti hai
Us seher ki aabo-hawa mein
Saanse lene ka jee chahta hai……..
Bu şiiri puanla
Henüz puan verilmemiş