Mun Aangan Ka Mosum! (Urdu)

S Shahzia Batool Shahzia Batool
0 Altın Yaprak
Lo hijr k lamhay sir per hen Kbhi chup hon gay, kbhi roein gay Aur jaag jaag ker raaton mein Ashkon k haar piroen gay Bus sochh mein ghaltaan rehtay hen Aankhon mein shab guzarti he Hum khud se puchhtay rehtay hen Kyun raat ki raani ki khushboo Mun aangan ko mehkaati he Kyun iss aangan mein yeh kaliyan Khilti hen roop dikhaati hen Kaliyon per shabnam saj saj ker Soey huay phool khilaati he Kyun phool mehektay jaatay hen Kyun titli urrti jaati he Kyun koyal kookti phirti he Aur punchhi naghmay gaatay hen Iss baagh mein kitni ronaq he - - - - - - - - - - - - - - - - - - Lekin yeh andar ka mosum Kyun itna badla badla he Or dil ki veera’n nagri bhi Kyun muztar muztar rehti he Yeh tanha tanha khamoshi Hum se kiya kehna chahti he Kyun yaad kisi ki aati he Or iss be naam si yaad me yeh Aankhen kyun num ho jaati hen In na maalum si yaadon ki Aakhir koi pehchhan to ho… Phir ek sawal ubharta he Kyun andar baahar ki rut mein Tafreeq rawa ho jaati he Or dil mera yeh puchhta he Wo kon naseebay walay hen Jin k mun aangan ka mosum Baahar ki rut k jessa he?

Bu şiire çeviri ekle ·

Bu şiiri puanla

Henüz puan verilmemiş

Yıldıza dokunarak 1–10 arası puan ver

Yorumlar

Yorum yapmak için giriş yapmalısın.

Giriş yap

Bu şiire henüz yorum yapılmamış. İlk sen ol.

Sana daha iyi bir okuma deneyimi sunabilmek için sitemizde çerez kullanıyoruz. Kişisel verilerin KVKK ve GDPR kapsamında işlenir; hangi çerezlere izin verdiğini dilediğin zaman değiştirebilirsin.