काश..02.(Kaash...02/ Hindi Poem)

S Subhas Chandra Chakra Subhas Chandra Chakra
0 Altın Yaprak
Hum kal bhi the, Aur aaj bhi hein. Jan te ho kya.. Beech mein ye ho kya gaya? Aaj sab kuch hai, mein bhi, tum bhi, suraj aur chand aaj bhi nikal rahehein Din aur raat aaj bhi sata rahe hein Dil hai, Dimag hai Sab kuch hai, Lekin aisa kyun lagta hai ki kuchh thik nehin hai? Utna pyar aaj bhi hai tum se, tumhare har cheejon se tumhari har yadon se jo mit nehin payee un sab ghaon se jo mit gayee un sab palkon ki such se.. sab kuchh jo kuchh bhi tumse ho kar gaya, tum se ho kar ayaa, sab kuchh kuchh bhi naya nehin kuchh bhi... Aaj wohi pyar hai wohi dar hai wohi nazar hai, lekin sirf who nazria nehin raha.. tum to ho lekin woh tumpan nehin raha.. Pata nehin ye kya se kya ho gaya? mein kahan se kahan aa gaya? ? kaash aisa nehin hota.. mein hota, aap hoti, ye waqt hota, ye duniya waise hi rehta.. hum badal paate saath saath hum reh paate sang sang sab kuchh hota, Kaash ye nazria Badal nehin jaata.

Bu şiire çeviri ekle ·

Bu şiiri puanla

Henüz puan verilmemiş

Yıldıza dokunarak 1–10 arası puan ver

Yorumlar

Yorum yapmak için giriş yapmalısın.

Giriş yap

Bu şiire henüz yorum yapılmamış. İlk sen ol.

Sana daha iyi bir okuma deneyimi sunabilmek için sitemizde çerez kullanıyoruz. Kişisel verilerin KVKK ve GDPR kapsamında işlenir; hangi çerezlere izin verdiğini dilediğin zaman değiştirebilirsin.